Ya baat apki sahi hy ka koe bhe party kisee dosra ka baat nhi manti. Is lea ma to kehta hn, Geo aur jeena do. Yani apna maslak choro nhi aur dosra ka maslak chero nhi. Ab jo meelad mana rhya hn wo mantya rhyn gy aur jo isko sahi nhi samjhta wo isko nhi manya gy. Isee trh jo dost Shia hn wo Moharram ma Soog manyan gy.
Yehi to bhai yani ab ap dekhen naa jiss ny jo karna hai kar hi jana hai. Matlab jesy ap ny misal di. Jo mnaty hen wo apny nazrye sy mnaty hen or jo nai mnaty wo apny nazrye sy. Pehly banda fraiz to pury kary. Baqi cheezen bad ki hai. Wo pura karen jis kaa hisab hona hai.So Mai dono pahlu ky faidy ko daikh Raha hu so ab stuck hu bolu Kya 
Bhai mujy to issue nai hai. Dlaail to dono dy rahy hen. Or dono hi apni jaga theak hen. Lekn bat mahol ki thi jo thora kharab ho raha thaa thread ka. 
Walikum Salam themepen bhai Allah pak ka shukar hai ap sunio Bhai apny bilkul theak kaha hai ya masla sach me bari lambhy arsay say humry ulama ke darmiyan ikhtilafi raha hai aur aaj tak is par kasi ik ka bi ittifaq ni ho saka hai Jis ne manana hota hai wo manata rahega, aur jis ne nahin manana hota wo daleel dakh kar bi mukar jata hai bs hummy as community members is behas ko izzat aur adab ke sath rok dny ma he bhtari hai aur apna waqt aur energy un cheezon me lagayen jahan sab ittefaq karte hai jaise namaz or quran phar kar amal krny aur ghareebon ki madad krny ma qkh ini cheezon par Nabi Pak ﷺ ne sab se zyada zor diya hai baqi Allah pak he bhtar janty hai kia sahe or kia galt is ma koi shak ni insan ko damag iqal di hovi hai tak kah ksy shae galt ki punchab hu skay bs Allah pak hum sha ko hidayat dy Ameen
Exactly yehi mera point of view hai. Ky jab itny itny barry Ulama nai suljha paaye to ye kaya suljhaen gy. Or ye bss hmari saffon my tzad peda karny ky liye hi ho raha hai. Ky bss ye apas my larr larr ky hi mar jaaen.G bhai main aapki baat se bilkul mutaffiq hon aur aapne yeh baat sahi kahi k yeh kuch aese masle hain jin k upar behes karne se insan ka aek dosre se badzehn hone ke elawa koi nateeja nahin nikalta, qk aap kuch bolte ho dosra kuch bolta hai, phr ikhtilafat hote hain aur insaan sochta hai k is bande ki soch mujhse nahin milti toh main isse baat nahin karta, aur is waja se bhaiyon men bhaichara nahin rehta, aur log aek dosre se door hone lagte qk jaise aapne kaha k aap bhale jitni koshish karlo agar dosre insaan ka zehn hi alag taraf hai toh aap usey convince nahin kar sakte kisi bhi tarha se.
Do tarha k discussions aur behes aese hote hain jinka koi hal nai nikalta balke sirf behes badzubani aur garma garmi men badal jate hain last men jaa ke, aek hai Islamic discussions aur dosra Political discussions. Main nahin kehta k inke hawale se koi baat na ho, lekin koi bhi banda kisi dosre bande ko apne points ya dalail se convince kar k convert nahin kar sakta, aur yeh cheez maine practically bhi dekhi hai... Isliye humen chaiye k hum in dono tarha k behs se guraiz karen aur apas men aek dosre se ache se rahen aur healthy discussions ko promote karen.
My ny issi liye point raise kiya hai. Thread kaa mahol bhi thora kharab ho raha tha to socha my ap sab ki raaye ly raha tha. Or definitely natija koi bhi nai niklna hai. Naa ussy ny uss ki man'ni or naa iss ny uss ki. So khamoshi hi achi hai. Do tarha k discussions aur behes aese hote hain jinka koi hal nai nikalta balke sirf behes badzubani aur garma garmi men badal jate hain last men jaa ke, aek hai Islamic discussions aur dosra Political discussions. Main nahin kehta k inke hawale se koi baat na ho, lekin koi bhi banda kisi dosre bande ko apne points ya dalail se convince kar k convert nahin kar sakta, aur yeh cheez maine practically bhi dekhi hai... Isliye humen chaiye k hum in dono tarha k behs se guraiz karen aur apas men aek dosre se ache se rahen aur healthy discussions ko promote karen.

لسلام عليكم